MARHOOMEEN KE KAPDE.. ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Jin Logo ka inteqal hojaye to kiya un logo ke kapde ex..Saree,Qamees etc..istemal karsakte hai ? Ya Nahi ?
(Mohammed saleem),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Ghar wale Maal daar ho to Marhoomeen ke kapde jo bhi ho agar wo Sahi aur Saaf ho to Un Kapdo ko Ghareebo me Sadqah kardena ziyadah behter hai,taake Marhoom ko sadqeh ka sawab bhi mile aur Rooh ko thandak bhi,Ye Sadqah karna Zaroori nahi hai,balke Mustahab hai,
Haan,Agar Gharwalo ko un kapdo ki zaroorat ho ya Un Kapdo Se Marhoomeen ki yaadein wabastah ho jisko dekhne se Dil ko itminaan milta ho to khud bhi istemal karsakte hain,ya usko rakh bhi sakte hai,
(Al Ashbaah,Vol/2),
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like