DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 600,Hadees No :2439,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Qareeb Momin ke Khaab me Jhoot Shamil hoga,Jo Bandah Baat me Sacha Hoga usi ka Khaab bhi Sacha Hoga,Jabke Momin Ka Khaab Nubuvvat ke Cheyyaliswa Hissah(1 from 46 Shares of Nubuvvah) hai,
Khaab ki Teen Qisme hoti hain,
1) Sacha Khaab Jo Allah ki Taraf se KhushKhabri hoti hai,
2) Shaitan ki taraf se Gham me daalne keliye hota hai,
3) Jo Bandah Din me Ziyadah Kaam karta hai,ya Bolta hai,to wahi wo Khaab me bhi dekhta hai,ye Aam khaab hota hai,
Bus jo Khaab Pasand Na ho to Uth jaye aur Apne Baye Janib(Left Side) thook(spet) de,aur us Khaab ko Logo ke Saamne Na bayan kare,
Phir Aap sallallahualihiwasallam ne farmaya :Mujhe Neend me bhi Deen per Sabit Qadami pasand hai,aur Neend me Deen se Doori Na pasand hai.
(Vol/2,Hadees No :2439),
Dars : Khaab me bhi Wahi Shaks ka Etebaar hoga jo Baat me Sacha ho to Sache Khaabo keliye Baate bhi Sachi Karni hogi,kyu ke Bandah apni Jaisi Adat bana lega Khaab bhi usi Shakal per Zahir honge,jabke Momin ke khaab ki islam me badi Ahammiyyat hai,ke usko Nubuvvat ke 46 hisso me se ek Hissah kaha gaya hai,ke jis tarah Nubuvvat ka her hissa Sacha hota hai,Momin ka Khaab bhi Sacha hota hai,to momin ko apni Baato me aur Kaamo me Sacha ban na hoga,
●● Khaab ki 3 Qismo me se Pahli qism ki ziyadah Ahammiyyat hai,aur uski Tabeet bhi hoti hai,jo uske Mahireen hi bata sakte hai,Baaqi 2 to Us se Panah maange,jiske bare me hamne ek week pahle wazifah post bhi kiye hai,
■■ Neend Zindagi ka Hissah hai,to Jaise Hamari Zindagi me islam hai,to Neend me bhi islam per Sabit qadami is tarah hoti hai,ke sone se pahle Qurani Ayaat ya Sureh padh kar soya kare to insha Allah Neend me bhi Deen per Sabit qadam naseeb hogi.
Allah hame Har Haal me Deen per Qayim wa Dayim farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like