MARHOOMEEN PER QURAN BAKHASHNA ?

 

Sawal:Asalamualaikum mufti sahab
…sawal a hai ke quran pad ker marhoom per bakash deyte hai kya aisa karna sahi hi ? Aisa karne say padne walo ku b uska sawab and marhoom ko b uthna hi sawab milta hai kya ???
(Ek islami bhai)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah ..
Quran padh kar Eisal e Sawab ki Niyyat se Bakhashna ye Mustahab Amal hai,aur aysa karna Awlaad keliye Saadatmandi ki Baat hai,kyu ke Hadees me Aya hai,ke Awlaad ka Nek Amal ka Ajr walidain ko bhi milta hai,to Quran padhna Bhi Nek Amal hai,to zaroor Marhoomeen ke Naam se bakhshwaye to Padhne wale ko Bhi zaroor utna hi ajr milega..kyu ke Allah ke Kazaneh me koi Kami Nahi hai.
(Mishkaatul Masabeeh,Vol/1)

You might also like