IFTAAR KARANE KI FAZEELATH

 

Hazrat Abu Hurairah(raziiyallahuanhu) se rivayat hai,Rasoole Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo bandah apne kisi musalman rozah daar ko agar paani se bhi iftaar karade to Allah usko gunaho se ayse paak karenge ke jaisake wo aaj hi apni maa ke peth se pida huva ho.
to sahaba ne arz kiya ya rasoolallah kiya ye hukm safar me hai,ya ayse maqam per hai,jaha paani nahi milta ho ?
aapne farmaya : ye hukm aam hai,agarche ke koi darya e farat per hi kyu na ho,(yani usko ye fazeelat militi hai)
(anees ul waizeen),

to dosto hame chahiye ke apne maal me se ghareebo ka o bhi khayal rakhe insha Allah kal qiyamat me Allah ghareebo ki madad karne walo ki madad karega..

You might also like