** Ghod Phod(Chipkali ki Shakal ka Ghar me Aana kisa ? **

Sawal:Assalamualikum,Mufti saheb,
Agar Kisi K Ghar Mein Ya Dukan Mein
(Ghod Phod) Aaye Toh
I Mean Woh Jaanwar Jo Jis Ko Khane Se Aaqa ne Mana Farmaya Hai
Agar Ye Kisi K Dukan,Makan Mein Enter Hone Se Kya Un Ghar,Dukan Walon Ko Nahusath (Iflasi ) Hogi ?? Ya Fir Us Ghar,Ya Makan Ko Kuch Baras K Liye Cchodna Chahiye??
Hame Durusth Mamle Ki Taraf Rahnumai Farmaiye ?
(Fayyaz Ahmed),
Jawab :Walikumassallam wa rahmatullah,
Ghod phod ko Khana Hanafi Mazhab me Makrooh zaroor hai aur ye Hadees se sabit bhi hai,
(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Pg/3)
magar uske kisi Ghar me ya Dunkan me aane se us Ghar ya Dukan ko Iflasi lagna ya us Ghar ya Dukan ko kuch Dino keliye Chod dena ye Kahi se Sabit Nahi hai,
ye to Ghair muslimo ke Batil Khayalaat hai,is se Her Musalman ko bachna zaroori hai,in baato se iman me kamzori aati Allah sabko Mahfooz kare..Ameen.

You might also like