MOHARRAM ME EGG AND CHICKEN KA ISTEMAL ?

Sawal: Assalamualikum,Mufti saheb,

Log kahte hai,ke Moharram ke Month me egg aur Chicken Nahi khana kahke kiya ye sahi hai? aur is ko istemal karne se kuch hota kiya ?

(Shaik Anwar),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,,

Anda(egg) aur Murgh ka Gosht(Chicken) ye islam me Halal cheeze hai,aur Quran wa Hadees se isko Khane ki ijazat bhi milti hai,to Moharram ke Mahineh me usko Na khana kahna sahi Nahi hai,balke isko kabhi bhi kha sakte hai,koi Haraj Nahi hai,aur jo log aysa kahte hai,to wo koi doosre baaz logo ko dekh kar kahte honge to ek musalman ko doosro ko Nahi balke Islami Taleemat ko dekh kar zindagi guzarna hai,aur islam ne to usko khane ki ijazat di hai,

ab rahi  Is Mahineh me Gham ki jaha tak baat hai,wo to Marte Dum tak ek momin ke Dil me basa huva hota hai,ye Gham poori ek zindagi tak rahta hai,Na ke sirf ek Mahine tak…lehaza apne aap per kisi cheez ko Haram karlena aur us se baghir sabab ke istemal na karke doosro ko us se rokna Sahi Nahi hai,aysa karnege to khud ko Haraj aur Mushkil me dalna lazim ayega aur islam ne ayse kaamo se roka hai.

(Al Quran,Surah AL Maida :6)

You might also like