NA BALIGH KI QURBANI ?

Assalamu Alaikum..Hazrat
 Sawaal.; kya Nabaliq bachi par Qurbani wajib hoti hai. ?? OR qurbani kis kis ke naam se desakte hai or unki Omer kya honi chahiye.??
jawab : Walikumassalam wa rahmatullah.,,
Na Baligh Awlad ke paas agar Maal Na ho yani wo sahib e Nisab Na ho to un per Qurbani Wajib Nahi hai,Haan,agar Unke Paas Maal ho aur wo sahib e Nisab hogaye ho to Baap per unki Janib se Qurbani dena Wajb hai,
Ghar me Jitne Log Sahib e Nisab hai,unki Janib se qurbani dena wajib hai,aur agar wo sahib e Nisab Na ho to un per Qurbani dena wajib Nahi hai.
Qurbani dene me Omer(age) ki koi Qaid Nahi hai,balke Nisab ki Shart hai.
     ( AL Binayah,VOL/11,Pg/5)
You might also like