NAMAZ ME NAAF KE NEECH HAATH BANDHNE KA HUKM

Sawal : Assalamualikum, Mufti Saheb,
Namaz me Haath kaha bandhna hai ? Seene per ya Naaf Ke neeche ?
(maulana Muneeruddin saheb),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Hanafi Mazhab ke etebaar se “Naaf ke Neech” Haath (hands) bandhna “SUNNATH” hai,
Daleel :
Hazrat Wayil(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha maine : Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ko Namaz ki halat me dekha ke aap apna seedha haath(right hand) se apne baye haath(left hand) ko pakad kar “NAAF KE NEECHE” rakhe the,
(AASARUS SUNAN,Pg/69,Musannaf ibne abi shaibah,vol/1,pg/391),
Hazrat shaik ibne Humam (rahamtullahialih) ne kaha : Naaf ke neech haath bandhne me ziyadah ” ADAB” nazar aata hai.

Note : ye maslake hanafi ke etebar se hai.

Plz,,read and share it.

You might also like