NIKAH KE DIN MARD KA MAHENDI LAGANA ?
Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,
Log kah rahe hai ke ‘ Nikah yani Shadi ke din Mard ko Haath (Hands) awr Pairo ke Kuch Hisseh me Mahendi Lagana ” SUNNAT ” hai ?
Mard Aam Halat me Haath me Mahendi laga sakta hai ?
(Sk Mohammed Farid saheb),
Jawab : Walikumasslam wa rahmatullah,
Mard Ko Nikah ke din ho Ya Aam Dino me Haath(Hands) awr Pairo(legs) ke kisi Hisseh me bhi Zeenat(Beautiness) keliye Mahendi Lagana Jayiz Nahi hai.
Haan..Mard ko Zaroorat ke taur per Jaise Beemari ke ilaj ki dava agar Doctor ” MAHENDI LAGANA ” kahe to waqti taur per uski Ijazat hai,
Awr Mard ko Mahendi ka Khizab Dadhi aer Ser(Head) ke Baalo per lagane ki ijazat hai.
(Sahi Muslim,Chapter,Libas/H,No :5633).
Plz..Share it to All,For Islamic Service.