NIKAH ME RUPIYE LENE WALE KI DAWAT ME SHIRKAT…?

Sawal :Assalamualikum mufti sab. Agar koyi shaks nikah k liye ladki valon se rakham leta hi to kya us nikah me shirkat karsakte. Vaha kha sakte kya. Vo khana Halal hoga ya haram.
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Nikah me Raqam Lene wale ke Nikah me Shirkat karna aur waha khane ki ijazat hai,kyu ke us Raqam se Nikah ka khana Haram Nahi hojata hai,aur jis ka Dil Mutmayin Na ho to wo Na jaye,
Haan,Wo Shaks Gunahgar Zaroor hoga aur Uska Anjam bhi Qiyamat me Bohat Bura hoga kyu ke usne Nikah jaisi Pakeezah Sunnat ka Ladki walo se Raqam lekar Na Jayiz Faidah Hasil kiya hai,aur us raqam ke bare me us se Qiyamat me Zaroor pooch hogi.
Note :Nawjawano se yahi Guzarish hai,ke Ladki walo se Kuch lene se pahle Zaroor soch le ke Ye Maal to Waqti hai,per iska Bura Anjaam Dayimi hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like