DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 492,Hadees No :2181,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Apne Marz ka Buri Dawa se ilaj(Treatment) Na karo.
(Vol/2,Hadees No :2181),
Dars : Har Beemari ke Aane aur Jaane ka Ek Waqt Moqarrar hota hai,jo bandeh ki taqdeer me likha huva hota hai,to uske Noqsanaat se Bachne keliye hi Sahi Dawa ke istemal karne ka hukm diya gaya hai,
●● Buri Dawa ? Marz ko Jald se Jald Khatam karne keliye Zaroorat se ziyadah dawa(one time 500 Paracetamol ke bajaye 3 Dose ek hi saath khalena etc..) istemal karna ya Haath ya Pair me aaye huve marz ko Bardasht na karte huve Haath ya Pair hi cut karlena,Ya Beemari ke badhne ke dar se ya ilaj ki taqat na rakhne ke dar se aur uske alawah Wujoohat ki bina per apne aapko Maar dena bhi Buri Dawa ya Bure ilaj(Bad Treatment) me Shamil hota hai.
Allah hame tere faislo pe Hamesha Raazi rahne wala banaye..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like