PAHLI BAAR QURBANI DE TO ?

Sawal: Assalamualikum,Mufti saheb,

Mai is saal Allah ke fazl se sahib e nisab huva hoon to maine qurbani ki Niyyat karli hai,magar mere ek dost kah rahe hai,ke JO Pahli Baar Qurbani de raha hai,to aysi soorat me Apni aur Nabi sallallahualihwasllam ke naam se bhi qurbani dena zaroori hai warna tumhari qurbani nahi hogi ? ! to kiya ye sahi hai ?

(Shaik Shabbir),

Jawab: walikumassalam wa rahmatullah,

Allah aapko Mazeed Barkat ata kare,,Ameen,

ja shaks sahib e Nisab hogaya ho to us per uski hi Qurbani Dena wajib hogi,aur pahli baar jo qurbani de raha ho to bhi  sirf uski hi qurbani dena hai,Nabi E Akram(sallallahualihwasallam) ke naam se Qurbani dena wajib Nahi hai,

Haan,agar jo qudrat rakhta ho to wo Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke Naam se qurbani de to wo qurbani hojati hai.

Note :Hum Ummati per to ye lazim hai,ke jab waqt ajaye to Nabi e Akram(sallallahualihiwasllam) ke naam se qurbani hi nahi balke JAAN bhi dena pade to uskeliye Tayyar rahna hai,Ye Hamari Aqeedat hai,aur ooper ka jawab Hamari Shareeat hai,to hum dono ko apne maqam per rakh kar chalenge to Sirate Mustaqeem per qayim rahenge..Insha Allah.

You might also like