DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :180,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Jab Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Makkah me (Hajj ke iradeh se)Dakhil huve to Hajare Aswad(Black Stone) ko Bosa Diye,phir Seedhi Janib se Tawaf shuru kiye pahle ke 3 Chakkar me “Ramal” farmaya,aur Baaqi ke 4 Chakkar me Baghir Ramal ke Ahistah Chalte huve 7 Chakkar mukammal farmaya,Phir Hajar e Aswad ko Bosa diya,aur Maqam e Ibrahim ke paas 2 Rakaat Nafil Ada kiye,aur Quran ki ye Ayat Tilawat farmayi ke وَإِذْ جَعَلْنَا ٱلْبَيْتَ مَثَابَةً لِّلنَّاسِ وَأَمْنًا وَٱتَّخِذُوا۟ مِن مَّقَامِ إِبْرَٰهِۦمَ مُصَلًّى ۖ وَعَهِدْنَآ إِلَىٰٓ إِبْرَٰهِيمَ وَإِسْمَٰعِيلَ أَن طَهِّرَا بَيْتِىَ لِلطَّآئِفِينَ وَٱلْعَٰكِفِينَ وَٱلرُّكَّعِ ٱلسُّجُودِ

2-Al-Baqara : 125

Tarjumah : Beshak hum ne Kabatullah ko Sawab aur Aman ki jagah banadi hai,To Tum sab (aye momino) Maqam e Ibrahim ko Namaz ka maqam banalo(yani 2 Rakaat Namaz Nafil ki Niyyat se maqam e ibrahim ke paas ada karo) aur hum ne Ibrahim aur Ismaeel (alaihimassalam) se Mere ghar ko tawaf karne walo,waha taherne walo aur ibadat karne walo keliye paak karne ka wada liya hai.
Phir Safa wa Marwa ki taraf Saee keliye Rawana huve.
(Vol/1,H,No :866),
Dars :Ye Tareeqah e Tawaf tha jo Khud Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) amali taur per karke apni Ummat ko bataya,
●● Ramal : Ibteda e islam me Jab Musalaman Hajj ya Umrah keliye Aate aur Tawaf karne lagte to Kuffar dekhne lagte aur Dil me kisi Buri Harkat ka iradah karne lagte jo unki zahiri harkato se pata chal jata to Aap Sallallahualihuwasllam ne Kuch Roab ke saath chalne ka hukm diya Take kuffar ke dilo me Khauff baith jaye,
■■ Ramal : Haatho ki Mutthi Band rahe,Seena Utha kar aur Jaldi jaldi Chalna Ramal laata hai,Ramal Sunnat hai.

You might also like