PREGNENT BIVI KA SHOHAR ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar kisi Shaks ki Bivi Hamilah(Pregnent) ho to kiya uska Shohar kisi Mayyi ko Kaandha de sakta hai,ya nahi ?
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Bivi Hamilah ho to Uska Shohar Kisi bhi Musalman Mayyit ko Namaz e Janazah ya Tadfeen keliye Kandha de sakta hai,usme koi Haraj Nahi hai,aur Mayyit ka Janazah uthana to “Sunnat” hai,
Baaz log kahte hai,ke jis shaks ki bivi Hamilah(pregnent) ho to wo Janazah na uthaye warna Museebate ayingi ye sab Ghalat Baate hai,iska islam se kuch Ta’alluq Nahi hai.

You might also like