RAASTEH ME LEMON,COCONUT ETC..HO TO HIFAZAT KISE ..?

Sawal : Assalamualaikum mufti saab ek masla aisa hi bazaar me kuch log jaadu aur kuch nimbu (lemon) red powder, khana, coconut aisa kuch daal k jaate hain jaane anjane mein agar byk ya car upar se chale jaane se hame kuch hota Kya?
Agar aisa kuch dekh liye toh kya Padna MUNASIB rahega rehnuma farmaiye.jazakallah khair
(Mohammed Iftekar),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Moashreh me Baaz Shar Pasand log Doosro per Apne Faideh keliye ya Khud ki Hifazat keliye Jadu etc.. Baaz Ghair Muslim Pandito ya Baaz Muslim Aamil(Jinko Shareeat ka kuch bhi ilm Nahi hota hai) ke paas ye ghair Sharee Amal karva kar unke kahne per Baaz cheeze Raasteh me Daal dete hai, Taake uska Asar Doosro per hojaye.. waghaira waghaira niyyat hoti hai,to Jab aysi Cheeze Nazar aye to Us waqt *AYAT UL KURSI* padh le aur agar ye Yaad Na ho to *3 Baar Sureh Falaq(Qul Awuzu Birabbil falaq…)* aur *3 Baar Surah Naas(Qul Awuzu Bi Rabbinnas..)* padhle aur Apne uper Dum karle to Insha Allah us Jadu ya Bure Amal ke Asar se Mahfooz rahenge.

Note :Jis Bandeh ka Kamil eiman ho(Yani Namazi wa Muttaqi ho) to usko in Cheezo ke bhi padhne ki zaroorat Nahi hai,Balke ek Kalimah hi (jo uske Dil me mahfooz hai) ki Barkat se wo Har Bala se Mahfooz rahega..insha Allah.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like