DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 440,Hadees No :2107,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apne Nasab(Rishtehdar) ko Jaanu,Taake tum uske Zariyeh Apne Rishtehdaro ke saath Husn e Sulook karsako,Yaqeenan Rishtehdaro ke Saath Husn e Sulook karne se Khandan me Mohabbat,Maal wa Umer(Age) me Barkat hoti hai.
(Vol/2,Hadees No :2107),
Dars : Deen e islam me Rishtedari ki Badi Ahmiyyhat batayi gayi hai,jisko Amali Taur per khud Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Apne Rishtehdaro se Husn e sulook karke Batlaye,taake us per Ummat Amal karke 2 Jahan ki dawlat se Nawaz diye jaye,
●● Aaj kal ki Taqreebo(Dawat) me Chahe Choti Taqreeb ho ke Badi Taqreeb Umdah Se Umdah Qisam ke Khane wa Meethe(Sweets) banaye ja rahe hai,Aur Dawat me Shirkat karne wale bhi Apni taqat ke muwafaq Nafees Libas Zeb e Tan kar rahe hai,Mahfil me Sab kuch Maujood hai,Bus Kami hai,to “APAS ME RISHTEHDARO KI HAQEEQI MOHABBAT KI KAMI HAI” Na Honto pe Haqeeqi Muskurahat hai,aur Na Hi Dil me Haqeeqi Khushi Bus Thodi si Baato ki wajah se Badi Ghalat fahmiya dil me Basi huvi hain,Aysa karne se Allah unper Apni Rahmat ko Nazil Nahi karta hai,jaisa ke ek Hadees me Aya hai,ke :Rishtah Todne wale Per Allah ki Rahmat Nazil Nahi hoti hai.
(Zujajatul Masabeeh,Vol/4),
Agar Hum Apne Dil ki ANA(Takabbur) ko khatam karke DEEN KI ATA(Deeni Taleemat) ko Apna le to Yaqeenan Hamare Ghar Haqeeqi Khushiyo se Bhar jayenge…insha Allah.
■■ Yaad Rahe ke Apne Rishtehdar Allah ki Nemat hote hain,unhi ke saye me Hum Bade huve hai,Unki Bachpan wali Mohabbat wa Shafaqqat ko yaad karke Aaj unke saath Mohabbat se pesh aye to yahi kaafi hai,Rishtehdari ko Majboori me Nibhana Nahi hai,Balke Khushi se Lutandoz hona hai.
Allah hame Rishtehdaro aur Sabke Saath Husn e Sulook karne Wala Banaye.Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like