RAAT ME NAKHUN(NAILS) NIKALNA !!!

Sawal :Assalmualikum,Mufti Saheb,
Maine logo se Raat me Nakhun(Nail) Cut karne se Ghar me Nahoosat aati hai,kiya ye sahi hai,
Aur Kiya Raat me Nakhun nikal sakte hai,ya Nahi ?
(Md muneeruddin),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Jab Nakhun Nikalne ki zaroorat hoto usko Din me bhi Nikal sakte hai,aur Raat me bhi nikal sakte hai,
Kyu ke Nakhun ke cut karne ke bare me jo Hadees aayi hai usme Raat Ka lafz bhi aya hai, to uski ijazat hai,
(Timizi,Vol/2,H,No :2983),
Raat me Nakhun Nikalne se Ghar me Nahoosat aana ye sahi nahi hai,
Haan,Raat me Isha ki Namaz na padhe to Nahoosat wa Be Barkati zaroor Aati hai.

You might also like