RAHEN KE GHAR ME RAHNA ? **

Sawal:Assalamualikum,mufti saheb,
Agar hum Rahen per kisi ka ghar le to kiya hum us ghar me rah sakte hai ?
(Mohammed Azam),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar aap kisi ko Kuch Raqam de kar uske Waseeqeh(Bharoseh) ke taur per ghar ko Qabzeh me karle aur agar Makan e Malik us ghar me aapko Rahne ki ijazat de to Aap us ghar me rah sakte hai,
Baaz Ulama e kiram uski ijazat ke Baghair bhi Ghar ki Hifazat keliye rahne ki ijazat diye hain,ke koi Ghar me rahe to Ghar ki hifazat bhi hogi aur Ghar paak wa Saaf bhi rahega.
(Al Hidayah,Vol/4),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like