RAMAZAN ME ROZANAH GHUSL ?

Sawal :Salaamalykum…
Mera question mufti sahib se hai ke Ramzan shareef mai khaas aur dusre months mai kya roz roz gusal karna lazmy hota hai namaz parne ke liye and kitne dino bad gusal karna wajib hojata hai ?and agar soap lagaye bina gusal kare to paak nahi hote ?
(MD SHAHID)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Deen e islam ek Pakeezah Mazhab hai,aur ye Pakeezgi ko Hamesha Pasand farmata hai,Jaise Hadees me Aya hai,ke *PAAKI AADAH EIMAN HAI*
(Sahi Muslim,Vol/1)
to Ghusl bhi Paak hone aur Badan ko Mail aur Beemariyo se paak Rakhne ka ek Ahem Zariyah hai,
Ramazan ho ya koi Doosre Mahino(Months) me Rozanah Ghusl karna Wajib Ya Zaroori Nahi hota hai,Balke Rozanah Ghusl Karna Mustahab hota hai,aur jo beemar ho usko Rozanah ghusl karne se Mana bhi kiya gaya hai,
*Wajib Ghusl* : Jab Apni Bivi se Qurbat hojaye ya Ehtelam hojaye,Ya kisi wajah se Mani kharij hojaye to is se Ghusl Wajib hojata hai,
*Sunnat Ghusl*:Jumah ke Din aur Barkat wali Raato me Ghusl karna sunnat hai,Baaz ulama usko mustahab qarar diye hain,
*Mustahab Ghusl* Rozanah Safayi ki Niyyat se ya Garmi wa Paseeneh ki Boo door karne keliye Ghusl kare to ye Mustahab hai.
(Bahrur Raayiq,Vol/1),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like