RAMZAN KI KHUSH KHABRI DENE SE ?

Sawal :Assalamu alaikumm,mufti saheb,
ramzan ke mahine ki khushkhabri dene wale ko jannat hai aisi koi hadees shareef aap ke ilm me hai kya?
(Mohammed Umer),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Hadees me Ramazan ke mahine me ki jane wali ibadaat ki tayyari ki taraf ishare aur targheeb di gayi hai,ke Shaban se hi nafil rozeh rakhne shuru karo take ramazan me rozah rakhne me kisi qisam ki kami na aane paye aur ibadat ki nooraniyat dil me sama sake,,
(Sahi Muslim,vol/1),
ab rahi sirf “RAMZAN KI KHUSH KHABRI DENE SE JANNAT” mil jati to phir Rozeh ,NAMAZ etc..?
lehaza aysi koi Hadees siha sittah aur Hadees ki Motaber kitabo me Nahi hai.
plz,,aysi baato ko share na kare,warna hamari poori tawajjuh *KHUSHAMALI* se hat ker sirf *KHUSHKHABRI* per hi rah jayegi jiska ke koi faidah hi nahi hai,

You might also like