ROZEH ME EHTELAM KA HUKM

Sawal: Assalamualkum,mufti saheb,
agar rozeh ki halat me ehtelam(khaab ki wajah se ghusl wajib ho) hone se rozah baaqi rahega ya nahi ?
phir Ghusl me halaq tak paani pahonchane ka kiya hukm hai?
(mohammed qais ),
Jawab:walikumassalam wa rahmatullah,
Rozeh ki Halat me agar ehtelam hojaye to us se rozah nahi toot ta hai,rozah baaqi rahta hai,
haan,ghusl me halaq me paani ander tak dalne ke bajaye achi tarah kulli karle to kaafi hai.
(Al Hidayah,Vol/2,pg/106)

You might also like