ZAKAT KA MAHINAH ?

Sawal:Assalamualikum,Mufti saheb,
Kiya zakaat Ramzan me hi dena wajib hai,uske alawah ke mahino me zakat nahi de sakte kiya ?
(Anwar Aziz)m
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Zakat keliye koi Mahina muqarrar nahi hai,balke jab bandeh ke paas 6.1/2 (saadhe 6 tola sona ho ya uske barabar paise ho) aur us per 1 saal guzar jaye to us per zakaat wajib hojati hai,koi khaas mahinah uskeliye muqarrar nahi hai,
haan,ab rahi ramzan me nekiyo aur rahmato ki barish hoti rahti hai,aur is mahineh me 1 neki ka sawab 70% hota hai,to bandah ziyadah se ziyadah sawab hasil karne ki niyyat se is mubarka wa barkat wale mahine me zakaat nikalte hai,take ghareeb wa miskeen log bhi Ramazan ki eid aur zarooriyat e zindagi ko ache tareeqeh se ada karsake.
(Sharh ul Wiqayah,vol/1,)
Note:Bhaiyo…Ramazan khatam,Zakat Khatam ka maslah nahi hai,

You might also like