SAFAR ME ROZEH KA HUKM

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Safar agar Rozah ka kiya hukm hai,aur agar rozah safar me choot jaye to kiya Gunah hoga ?
(Irshad Khan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Jo Bandah Safar me ho to usko Rozah chodne ki ijazat hai,yani wo rozah nahi rakh pa raha ho to wo safar me rozah chod de Baad me chode huve rozo ki Qaza karna wajib hai,us se koi Gunah Nahi hai,kyu ke shareeat me uski safar me ijazat hai.
Haan,agar usko rakhne ki taqat ho to zaroor rakhe.
(Al Quran,Vol/2,Surah Baqarah:184),

You might also like