BHOOL KAR SALAN CHAK LE TO ?

Sawal :Assalamulikum,Mufti Saheb,
Agar koi Awrat Rozeh ki Halat me Salan(curry etc..) banate huv Namak ke bare me jaan ne keliye salan chak le to Rozeh ka kiya Hukm hai ?
(Ek islami Bahen),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar koi Rozeh Dar Khana ya salan banate huve ya aam halat me hi Bhool kar Kuch kha le ya chak le ya kuch water etc..pee bhi le to us se uska rozah nahi toot ta hai,
Kyu ke usne Jaan booj kar khaya ya piya nahi hai,balke bhool kar kiya hai,to shareeat me Bhool maaf hai.
Lehaza uska Rozah baaqi rahega.
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/106),
Note :Bhool ka matlab Kuch khayal bhi na ho.

You might also like