SAJDAH ETILAWAT KA TARIQAH AUR AHKAM

Slam, Hazrat sajda e tilawat ki niyyat aur us ka tareeka irshad farma dain, Neez yeh bhi keh sajda aik karna hey ya do, Aur, Sajda e tilawat key baad namaz ki tarha salam pherna kesa?

(Mohammed Qais Minhas),

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah, Sajdah e tilawat ki Niyyat : Ab mai 1 Sajdah e tilawat (1 se ziyadah ki bhi Niyyat karsakte hain), ki Karta hoon,Charah mera kaba shareef ke Waasteh Alkah ke. Agar 1 hi sajdah ho to Khade hokar Sajdah me Jana Behter hai,agar ek se ziyadah hoto Baith kar bhi kayi sajdeh karsakte hai,khade hokar phir sajdah me Jaana zaroori Nahi hai, Sajdah 1 hi karna hai, Namaz ki tarah 2 sajdeh karnege to 2 sajdeh shumar honge, Sajdah e Tilaway ke Baad Namaz me salam pherne ki Tarah Salam pherna Nahi hai,agar jo Aysa karenge to Sunnat ki khilaf warzi karna lazim ayegi,is se bachna Chahiye.                                               (Sharh ul Wiqayah,Vol/1,Pg/78..90)

HAAN,yaad rahe ke Sajdah ki Ayat Padhne aur Sun ne se bhi sajdahe tilawat wajib hojata hai,aur ek mahfil me ek hi ayat kayi baar padhne se ek hi sajdah wajib hota hai,aur agar ek maqam per baith kar kayi sajdeh ke ayate padhe to jitni ayate padhi hain,utne hi sajdeh wajib hote hain,

sajdah e tilawat usi waqt karna Afzal hai,agar jab na hosake to kisi doosre waqt bhi karsakte hain,magar chodna Gunah hai,

aur sajdah e tilawat keliye bhi jitni sharte Namaz keliye hoti hai,utni hi sajdah e tilawat keliye bhi hoti hain,magar sajdah e tilawat Namaz ke halat me hi jamat ke saath karsakte hai,baad me uski qaza nahi hoti hai,

You might also like