DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH, DAY : 240,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :
Jab Tumhare Paas Nikah ka koi Aysa Paigham(pesh kash) aye ke jis ka Deen aur Akhlaaq Behter ho to Tum Us se Nikah karlo,aur Jiske ke Nikah se Zameen me Fitnah aur Fasad pahelta ho to tum us se Door hojavo.
(Vol/1,H,No :1107),
Dars : Deen se murad Deen e islam aur Aasmani kitabo per Eiman rakhne wale,aur Akhlaaq se murad Deeni Ahkaam aur Islami Usoolo pe zindagi Guzarne wale hai,
Aur is se ye bhi Malum huva ke Paighame Nikah me Deen aur Akhlaq ki Bohat badi Ahammiyyat hai,
■■ Zameen me Fitnah wa fasad ka matlab; Baaz ladko aur ladkiyo ke ayse Akhlaq hote hai,ke jinki Sahi TARBIYAT Na hone ki wajah se wo Rishteh wa Naato ko koi Ahammiyyat Nahi dete hain,jab unke saamne wale(jin se rishtah hone wala ho) ke Ghar me un rishto ki badi Ahammaiyyat hoti hai,to aysi soorat me us ladki ya ladke ka ayse ghar me Nikah karde to sab keliye Aazmayish hogi,lehaza iska Hal ye hai,ke walidain Ladko aur Ladkiyo ki Islami Aaadab e Zindagi ko saamne rakhte huve unki tarbiyat kare to sab keliye Nawazish hogi,
●● Uska Doosra Mafhoom ye hai,ke Ek Mazhab wale doosre Mazhab me Nikah karna hai,Jaisa ke Nawuzu Billah Aaj Kayi waqiyaat Sunkar Dil ko Badi takleef hoti hai,ke Ek Musalman Ladki ne Ghair Se Shadi karli hai..etc..to aysi Na Zeba Harkato se Us ka Deen wa Eiman to Barbaad hota hi hai,aur Saath me Sabke liye Wo Fitnah aur Fasad hojati hai,aur Aakhirat me uskeliye DardNaak Azab bhi usko milta hai,
lehaza ayse Ghair islami harkato se Allah sabko Mahfooz kare ameen.

You might also like