SHIP (KASHTI) ME SAFAR AUR NAMAZ ?

Assalam allekum, main ship main kaam kerta ho to mujhe ye puchna hai ke US main namaz kaise padi jaye,jaise padi jaati hai waise ya fir adhi padi jaye,ship humehsa chalti raheti hai to is mai safar Mai jaise padte hai waise pade kiya fir jaisi farz namaz muqeem hokar padte hai waise pade,safar kabhi 15 din ka bhi hota hai kabhi 8 din ka bhi hota hai, kabhi 3 din ka bhi hota hai

(syed Bashir),

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,

Agar aapka safar Jab bhi 15 din se kam ka ho to aapko Musafir ki Namaz padhna hai,yani 4 Rakaat ki jagah 2 rakaat ,aur agar aapka safar 15 Din ya 15 Din se ziyadah ka safar ho to ab aapko Muqeem ki tarah Namaz padhna hoga,yani 4 Ralaat ki jagah 4 rakaat hi padhna hai.

(Al Hidayah,Vol/1,Pg/55..65))

Aur yaad rahe ke chalti ship me qiblah ka hukm nahi hota hai,jidhar ship chale udhar hi rukh karke namaz padhna hai,haan,agar ship ruki huvi ho to Ab Qiblah ka hukm lazim ayega,qiblah ka rukh talash karke qiblah rukh hokar namaz padhna wajib hoga.

 

You might also like