DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY :199,

 

Hazrat Sawban(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jo Musalman kisi Doosre Beemar Musalman ki Mizaj Pursi (Uski Halaat Maloom karna) karta hai,to usko Marne ke Baad Jannat ka Libas pahna ya Jayega.
(Vol/1,H,No : 982),
Dars :Subhan Allah ,
Ye Aadab e Islam me se hai,ke Gham ho ya Khushi har Haal me ek musalman doosre Musalman ke saath rahna ye Allah ko Bohat pasand hai,aur
jo dunya me Koi apne bhai ki MUSEEBAT me Madad karega to Dunya me aur Kal Qiyamat me Allah uski Madad karega…
●● Momino…Apas me Ittehad ayse Kaam karne se hi Khud ba Khud paida hojata hai,Kahna se Nahi Karne se paida hota hai.
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..ameen

You might also like