SOCIAL MEDIA PER LADKE KA LADKI KO BAHEN KAHNE SE..?

Sawal :Assalamu alaikum warahmatullahi wa barakatuhu mufti sahab aj kal face book per ajnabi ladki ko ladke bahen kahekar message dalte hai to ye loug aisa karsakte hai kiya ye aisa amal karne se haquiqi bhai aur bahen hojate hai ya nahi please rahnumaiy farmaito badi maher bani hogi ? (Ismail Hashmi),

jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,,
agar koi Social media ya kisi bhi tareeqeh se kisi ladki ko Rishtah e Bahen kiNisbat se bulata ho ya Msg karta ho to wo is lafz ke kahne se HAQEEQI BAHEN Nahi banjati hai,is se wo islami bahen murad hoti hai,aur aysa kahne se koi haqeeqi rishtah bhi sabit nahi hota hai,aur mahram rishto me is ka koi zikr bhi quran me nahi aya hai,aur uska us se Nikah bhi Hosakta hai,
ye baat aur hai,ke Ghairo ko Bahen ki nisbat laga kar Chat karna bhi Munasib nahi hai,
haan waqti Yani islami Masayi keliye aur zaroorat wali guftugu ki ijazat hai,
(Al Hidayah,Vol/3,Pg/63..76)

You might also like