JUMAH MUBARAK KAHNA KISA HAI ?

Qurane kareem aur Hadees e shareef me Jumah ke din ki badi Fazilat ayi hai,Hadees e Paak me aya hai,ke Nabie Kareem sallallahualihiwalallam ne farmaya :Dino me sab se Behtreen din Jumah ka din hai,Isi din Hazrat Sayyiduna Adam(alhissalam) paida huve,isi din Jannat me Dakhil kiye gaye aur Isi din Jannat se Nikale gaye,aur isi din Qiyamat qayim hogi,aur iske alawah bohat se fazaayil jumah ke din ke bare me maujood hain.              (Jamiut Tirmizi,Vol/1,Pg/110),

isi fazaayil ke Peshe Nazar is din ko Eid ul Momineen(Momino ki Eid) bhi kahte hain,jab ye tamam momino ke eid hai,to is din Jumah Mubarak kahna Bilkul Jayiz hai,iske chand aqli wa Naqli Dalayil ye hai,

“MUBARAK” ke Lafzi wa mafhoomi meanig “ALLAH AAPKO BARKAT DE” ke hota hai,Haqeeqat me Jumah Mubarak kahna Ek Musalman ka Doosre Musalman Barkat ki Dua dena hai,jab ye Dua hi hai,to Shareeat ke muvafiq JAYIZ huva,Na ke Bidat ke Taur per Lehaza isko Bidat kahna Jayiz Nahi Hai,kyu ke jumah ke din dua ke muta’allaq khusoosi taur aya hai,ke,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuahu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jumah ke Din ek aysa waqt hai,agar us waqt momin bandah Allah se jo maange ga Allah usko wo Ata karega.           (sahi Bukahri,Vol/,Pg/128)

Hadees e Shareef ka Mafhoom ye hai,ke  Bandah e Momin Jumah ke din jo bhi Dua maangta hai,to Allah uski Dua ko qubool karta hai,lehaza Jumah ke Din “Jumah Mubarak” kahna dua ke Mutaradif hai,aur dua karne ke barabar hai,

You might also like