DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : JANAZAH, DAY : 232,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Mayyit ko Qabr me Rakha jayega to Uske Paas “Munkar”aur “Nakeer” Naami 2 Farishte Roabdar,Kahuffnak Shakal me Hazir hote hain,aur us se Sawalaat karte hai,ke :Tum Is Zaat ke Muta’allaq Dunya me Kiya khate the ? To wo jawab dega ke :Ye Allah Ke Rasool aur Bandeh Hai,(Ye Mere Nabi Mohammed(sallallahualihiwasallam) Hain) phir wo “ASH HADU AL LA ILAHA ILLALLAH WA ASH HADU ANNA MOHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU ” kahte huve Gawahi dega,to Farishteh kahenge ke Ham Jaante the ke tumYahi Kahoge,Phir Us Bandeh ki Qabr ko Bohat Ziyadah Kushadah kiya jayega,aur Saari Qabr ko Noor se Munawwar kiya jayega, ye Dekh kar wo bandah kahega ke Ab Mujhe kuch der keliye ijazat do mai mere Ghar walo ko jakar ye sab bata kar awunga,to usko Kaha jayega ke:TUM AB YAHA DULHAN KI TARAH AARAM KARO,ab tumhe Koi Bedar Karne wala Nahi hai,(yani Rahat wa sukoon me raho) Qiyamat tak wo wyse hi Aram wa sukoon me rahega,

Haan,agar Maarne wala Munafiq aur Bura insaan ho to uske paas wo 2 farishte Jab sawalaat karenge to wo koi Jawab Nahi de sakega aur kahega Mai “KUCH BHI NAHI JAANTA ” to Qabr ko Us per Miljane ka Hukm diya jayega to Qabr us per is tarah Qareeb hojayegi ke uski Phasliyan Ek Doosre me mil jayegi aur wo Qiyamt tak Yahi Dard Naak Azab me mubtala rahega.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :1092),
Dars :Momino ,Is Dunya ke ghar me Jaise rahoge wyse se Qabr me rahoge…Yaha Dil me Allah wa Rasoolullah ki Mohabbat aur Ahkaam per Amal awari hogi to waha qabr me Rahat wa Sukoon hoga warna BOHAT BURA ANJAAM hoga…
Allah ham per Qabr ke Sawalaat Aasan farma,Ameen.

You might also like