SUNNAT PADHNE SE PAHLE BAITHNA ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,

Kiy SUNNAT NAMAZ padhne se pahle jab masjid me aate hai,to baith kar phir uth kar sunnat padhna hai,kiya ?
(md amer),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,
jab masjid me dakhil hojaye awr sunnat Namaz padhne ka iradah karle to ab usko baith ker utne ke baad hi Sunnat Namaz padhna zaroori nahi hai,
balke,
baghir baithe bhi Sunnat padh sakte hain,baithna zaroori nahi hai,
Haan ,itminan e qalb wa sukoon ke husool ka iradah hoto koi baat nahi Hai, Baith kar uth sakte hain
(sharh ul wiqayah,vol/1,pg/15),

You might also like