DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :181,

Hazrat Aabis Bin Rabeeah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) ko kahte huve dekha hai,ke aapne kaha :

Aye Hajare Aswad(Black Stone) Mai Janta hoon ke tum sirf ek Patther hi ho,Phir Bhi Mai Tumhe Bosa deta hoon,Kyu ke Maine mere Rasool(sallallahualihiwasallam) ko Tujhe Bosa karte huve dekha hai,Warna Mai Tumhe Bosa Na Deta.
(Vol/1,H,No :870),
Dars : Hajare Aswad ko Tawaf se pahle ,Dauran e Tawaf aur Tawaf ke Baad Bosa dena Sunnat hai,aur agar Qareeb se Na de sake to Door se isharah ke taur per Bhi Desakte hain,aysa karne se bhi Bosa ke hi hukm hoga,
●● DARSE UMER(raziyallahuanhu) ●●
Dosto:Hazrat Umer(raziyallahuanhu) ki shan hi Aysi Nirali hai,ke Jo Baate wo Dil me Soncha karte to Allah unki Tayeed me Quran ki Ayate Nazil karta,Aur Jis Jagah aap qadam rakhte to Waha Badshahi karte,aur jis Gali se Guzarte Waha se Shaitan bhi Bhag jate,aur Roye zameen me Insaaf aur intezaam ki jo Misal aapne pesh ki hai, kisi aur ne Nahi ki hai,aur bohat…..
Lekin Itni Saari Sifaat hone ke Ba wajood aapne Jab apne Nabi(sallallahualihiwasallam) ke Amal ki Baat ayi to Aqal wa Zakawat ko Chod diye Bus Nabi ki Naqal aur Mohabbat ko ahmiyyat de di,to aap ka Ye Hajare Aswad ko Bosa dene wala Amal saare Ummatiyo keliye Naseehat hai,ke
Aqal ki Bunyad per Hadeeso ko Na Tolo aur Na Aqal ki Roushni me Hadees ko dekho..
Dosto Aaj dekho kisa Mahol Baaz log Banate Jarahe hai,
Jab koi Baat Aqal me Na aayi to Zuban se Kah diye..
….YE HADEES ZAYEEF HAI…!!!! YE HADEES BUKHARI ME NAHI HAI….YE HADEES KI SANAD SAHI NAHI HAI…..YE HADEES KO MAINE TO NAHI PADHA…etc
etc…
Aam Admi Hotel me,Royal Admi office me Ladke aur Ladkiya Colleges me,jo Log Retired Hove hai wo Ghar me ya masjid me Baaz log kuch din( 1 month ya Half month) Deeni mahol me rahkar,Ya Kuch Media per Video dekh kar..etc..
Hadees ki Baate karne lag jaye to Phir Un Ulama ka kiya Kaam hoga jo Saari Zindagi Deeni Taleem me sarf kardiye To Hadees pe Guftugu karna In Logo ka kaam Nahi hai, Balke wo To Ulama,Fuqaha,Aur Muftiyan e kiram ka Kaam hai,to awam ko Chaiye ke wo Hadees ko padh kar Amal karne ki koshish kare Na ke Hadees ko dekh kar use Zayeef Sabit karne ki…..Aur Ulama apna kaam karenge to Isi se ittehad bhi hoga aur Sabki Bahalayi bhi…
Allah hame Nek Aqal wa Nek Amal.ki Taufeeq ata farma..Ameen.

You might also like