TAHAJJUD KI RAKAATE AUR SURAH ?

Sawal : Asalamalikum mufti sahab mera ak sawal hi tahajjud ke namaz kitne rakth adda karna aur kun sa sura b padhe sakte kay mera ye ap s sawal hi zara is ka jawab dijiye ?

(Nasir Ali),
Jawab :Walikumassalam warahmatullah,
Tahajjud ki jumlah 8 Rakaate hain, 2 rakaat per Salam ke saath padhna hai,aur Us Namaz me jo surah yaad ho wo padh sakte hain,Afazal Pahli Rakaat me Surah Kafiroon aur doosri rakaat me surah ikhlaas se shuru kare to ziyadah behter hoga phir uske baad jo sureh yaad ho wo padh sakte hain,
Nafil Namaz ki Niyyat karna hai,Raat ka Doosra hissah guzarne ke baad Kabhi bhi padh sakte hai.
(Hashiya e Tirmizi,Vol/1),
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like