DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 344,

Hazrat Ayisha Siddiquah
(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jis Ghar me Khajoor Na ho to wo Gharwale Bhooke rah jayenge.
(Vol/2,H,No : 1928),
Dars : Yani Khajoor me Allah ne Badi Barkat rakhi hai,isko Musalman badi azmat ki nigah se dekhte hain,kyu ke Khajoor Hamare Nabi e paak sallallahualihiwasallam ko bohat ziyadah pasand hai,isliye isko iftar me bhi istemal karte hain,
Aur isko apne ghar me rakhne se kayi faideh hote hai,jis ghar me khajoor hoga wo gharwala khajoor ko kisi na kisi tarah istemal karke apni bhook mita sakta hai,
●● Khajoor ki Barkat se iflasi Nahi aati hai,
■■ Khajoor ko Bandah Salan ke taur per bhu istemal karsakta hai,
●● Qudrati taur per Khajoor me itne Vitamins hote hain,ke agar koi Raat me 2 khajoor bhi khaleta hai,to subah tak wo uske liye kaafi hojata hai,
☆☆ Is hadees e paak se maloom huva ke Ghar me Khajoor rakhna chahiye..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site.anwaarulislam,com.

You might also like