DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 343,

Hazrat Abdullah ibne Umer

(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne 2 Khajooro(dates) ko ek saath Jama karne se Mana farmaya hai.
(Vol/2,H,No : 1927),
Dars :2 Khajooro ko ek saath jama karne rokne ka matlab ?
Khajoore kayi qisme aur Mukhtalif khusoosiyaat wale hote hain,koi Umdah to koi Mamooli,lazim hai,ke umdah khajoor ki qeemat bhi ziyadah aur Mamooli khajoor ki qeemat kam hoti hai,to 2 alag qisam ke khajooro ko ek saath milakar Bechne(bay) se mana kiya gaya hai,kyu ke usme Bechne wale ko faidah hoga aur khareedne wale ko Noqsan,aur ye Moamlah*DHOKA* per hoga jo ke islam me jayiz Nahi hai,
■■ Deen e islam ne zindagi ke har us kaam se roka hai,jis me Saamne wale ko Dhoka ho,
●● 2 Alag qisam ke khajooro ko ek saath mila kar khane se sehat ko bhi noqsan pahonchta hai,lehaza 2 alag qisam ke khajooro ko thoda waqfah(gap) de kar khana chahiye…
Allah nek taufeeq ata kare..ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like