TUESDAY KE DIN NAKHUN (NAILS) NIKALNA ?

Sawal :Assalam alaikum mufti saab ,
sawal Kya tuesday ka din nakun ball cut karna kaisa our tuesday ka din ka islami concept Kya hain ?
(md shareef),
Jawab : Walikuamssalam wa rahmatullah,,Tuesday yani mangal ke din nakhun (nails) nikalne ki ijazat hai,awr mangal ke din ko manhoos samajhna ye islami taleemat me se nahi hai,har din Allah ka hai,koi din kharab wa manhoos nahi hai,bus insaan agar bura amal kare to us se Nahoosat aati hai,din se nahi aati hai,

You might also like