DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 209,

Hazrat Abdullah Bin Jafar(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ke paas,Jab Hazrat Jafar(raziyallahuanhu) ke wisal (inteqal) ki khabar aayi to aapne farmaya: Jafar ke Gharwalo keliye kuch Khane keliye Banado,kyu ke unke Gharwalo ko unki Maut ki Khabar ne Mashgool(busy)kardiya hai.
(Vol/1,H,No :1014),
Dars :Jab kisi ke ghar me kisi ka inteqal hojaye to Rishtehdaro aur Dosto ko chahiye ke wo unkeliye Khana tayyar kare aur aysa karna Sunnat hai,is se Akhlaq ka izhar bhi hoga aur Sunnat ka sawab bhi miljayega,kyu ke wo apne Azeez ki Maut ki wajah se Na Khate hai,aur Na hi kuch peete hai,lehaza Unka Khayal karna chahiye,aur unke gham me shamil bhi hona chahiye.

You might also like