UMRAH KE BAAD BAAL NA CUT KARNA ?

Sawal :- Assalamyalikum,Mufti Saheb,
Agar koi Umrah karke Baal (Hairs) Na kate to uska kiya Hukm hai ?
(Abu Bakar, K.S.A).

Jawab :- Walikumassalam wa rahmatullah
Aysi soorat me Yani Umrah karke Baal Na Cut kiye to
Umrah karne wale per ” DUM “(Ek janwar ki Qurbani) wajib hogi ,
Kyu ke Umrah me *HALAQ* yani BAAL (HAIRS) ka katna Wajib hai, awr wajib ke chootne se DUM wajib hota hai .
(Raddul Mohtar,V/3,Pg/630)
Yaad rahe ke Umrah karne ke Baad Halaq(Sar Mundwana) Afzal hai,aur Agar Baal chote bhi karle to kaafi hai.

You might also like