KABATULLAH KI AZMAT

Sahaba e kiram ki jamat ne is hadees ko bayan kiya ke,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah kabatullah ko hamesha aabad rakhega,lehaza her saal kam se kam 600000 afraad ko hajj ki saadat se mala maal farmayega,
agar wo tedad kam ho to farishto ke zariyeh usko mukammal karega,awr
Qiyamat qayim hone se pahle Allah tala kaba ko zameen se DULAHAN ki tarah saja kar Aasman me lejayega,awr jo lo HAJJ kiye honge wo kaba ke ghilaf ko pakde huve honge,to farishteh kahenge ;
Aye Allah ye Kaba ko kaha rakhe ?
to rabb kahega usko “JANNAT” me rakho,to jab kaba jannat me jayega to uske saath Haji bhi Jannat me dakhil hojayega.
(SAHI MUSLIM SHAREEF,Vol/1,)

Momino….SUBHANALLA ,kaisa Azmat wa barkato wala ghar hai,ye kaba !!!!!!!!
zameen me bhi rahmate luta ta hai,awr aakhirat me apne tawaf karne walo qiyamat shifa’ate karta hai,
600000 tedad kasrat keliye hai,us se bhi ziyadah hosakte hai,ye bando ki tafheem keliye kaha jata hai,

You might also like