WAJIB WITAR CHOOTNE SE ISHA KI NAMAZ..?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb..
Agar kisi ki wajib Witar Namaz choot jaye yani wo na padhe to kiya uski Isha ki Namaz hojayegi…?
(Mohd Hussain Quadri),
Jawab :Walikumassalam Wa Rahmatullah
Ishak ki Namaz Farz hai,aur Wajib ul Witar ki Namaz Wajib hai,lehaza agar koi Isha ki Namaz padh kar kisi wajah se Wajib ul Witar ki namaz Na padhe to uski Isha ki Namaz hojayegi,kyu ye 2 Namazo ka hukm Alag Alag hai,isha ki Namaz hone keliye wajib ul witar padhna Shart Nahi hai,
Haan,Jo Wajib ul Witar Namaz Chode to wo Sawab se Mahroom hoga aur Wajib Chodne se gunahgar bhi hoga,isiliye Imam e Azam Abu Haneefah
(rahmatullahialaih) ne Raat me Wajib ul witar Choot jaye to Fajar ki Namaz ka waqt shuru hone se Pahle tak bhi Wajib ul Witar Namaz padhne ki talqeen farmayi hai.
(Fatawa An Nawazil,Vol/1),

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like