WALIDAIN KA “MOM YA DAD” KAHNA

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Hum apne Walidain ko ” Mom” ya Dad ” kag kar pukar sakte hai ? Ya Nahi ?
(Rahman Bamhyal),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Islami Tarz e zindagi Nirali wa anokhi hai,iske har Hukm wa Tareeqqeh me Adab wa Akhlaaq ki Ahmiyat hai,jaha tak walidain ko” Mom ya Dad” Bulane ki baat hai,ye Quran ke Tarz Ke khilaaf hai, awr ye Yahood wa Nasara ka tareeqah hai,Quran awr Hadees ke bilkul Khilaaf hai,
Baap keliye Quran me ” Abbu ” ka lafz aya hai.
(Al Quran,Surah Baqarah,170),
Maa keliye ..” Umma” ka lafz aya hai,
(Al Quran,Surah Nisa,23)
Lehaza..Musalmano ka chahiye ke Apne Bacho ke zuban se
** AMMI ,AMMY JAAN **
** ABBU,ABBA JAAN***
ke lafz kahne ki targheeb de to ziyadah behter hoga,isi me islami taleemat awr quran wa hadees ki itteba bhi hogi..

You might also like