BACHO KE PAIDA HONE KE BAAD NAME RAKHNE KE AADAB

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Bacha ya Bachi Ki paida hone ke baad kiya 7 din baad Naam rakhna ?
Us se pahle kiya nahi rakh sakte,awr paida hone ke baad Uske liye Khajoor ka istemal kisa hai ?
(Md Khisar),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Bacha ya Bachi ki Wiladat ke baad kuch der baad bhi Naam rakh sakte hai,7 Din ka guzarna zaroori nahi hai,
Chote bacho ko Paida hote hi Khajoor ka Chatana ” SUNNAT ” hai,

Hazrat Abu Moosa(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha ke,
Jab mere Ghar me Ladka Paida huva to mai usko Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam ) ke darbar me legaya to aap usko Khajoor chatwaye,awr uska Naam “** IBRAHEEM**” rakha,
(Sahih ul Bulhari,Vol/1,H,No :5025),
To is hadees me 7 din ke baad hi naam rakhne ka suboot nahi hai,awr isme Kkhajoor ke istemal bhi wazeh hai.

You might also like