WATER SALE KARNE KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

kiya islam me Paani(water) Bechne ki ijazat milti hai ?

(Syed Najeeb),

Jawab: walilkumassalam wa rahmatullah,

Yaqeenan Paani(water) Allah ki Bohat Badi Nemat hai,aur islam me Paani(water) Bechne(sale) karne ki ijazat hai,us se koi Gunah bhi Nahi hota hai,Haan,agar koi Sadqah e jariyah ke taur per free taqseem kare to uska sawab usko insha Allah zaroor milega,paani bechne ki ijazat islliye ke Aksar Peeni ka Paani(Drinking Water) kisi zameen ke tahet Insan ki milkiyat me aajati hai,jaise ke koi Borewell dale to ab us paani ka malik wahi zameen wala shaks hoga,phir us paani ki saaf safayi(cleanig) ,packing,Transporting aur uski Hifazat karne me Malik ka Maal aur Waqt dono Kharch hote hai,lehaza wo malik Paani bech sakta hai,usme koi Haraj Nahi hai,

(Al Hidayah,Vol/2,pg/12)

 

You might also like