NAZAR KA EK ROZAH KA HUKM

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jab koi bandah Allah keliye 1 Rozah rakhne ki Nazar Maang le to kiya uske saath ek aur Rozah rakhna zaroori hai ?
(Moham Jahir razavi)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Nazar ke Bare me Quran e Kareem me aya hai,ke Bandah Allah keliye Jo bhi Nazar wa Niyaz Maang leta hai,to Allah usko jaanta hai,
وَمَآ أَنفَقْتُم مِّن نَّفَقَةٍ أَوْ نَذَرْتُم مِّن نَّذْرٍ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَعْلَمُهُۥ ۗ وَمَا لِلظَّٰلِمِينَ مِنْ أَنصَارٍ

(2-Al-Baqara : 270)
Lehaza Aap ne Jo misal ke taur per Agar 1 Rozeh Jumah ke din ya Kisi bhi din(Din moqarrar Na kare ho) to 1 Hi Rozah Alkah keliye Rakhna Wajib hai,Uske Saath Koi Doosra Rozah milana Zaroori Nahi hai.

You might also like