WAZOO KE BAAD QIBLAH RUKH HOKAR PADHNA KA HUKM

SAWAL : assalamualaikum mufti sahaab. sawal.. 1.kuch log wazu k baad qible ki taraf ungli utha kar kuch padte hain ye log aisa kion karte hain?
(abdul Raheem.)
Jawab : walikumassalam wa rahmatullah,,Hadees me aya hai,ke jo Wazoo ke baad qibalah rukh hokar “ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH WAHDAHU LA SHAREEKA LAH,WA ASH HADU ANNA MOHAMMADAN ABDUHU WA RAHOOLUH,ALLAHUMMAJ ALNEE MINAT TAWWABEEN WAJ ALNEE MINAL MUTA TAHHIREEN “” padhta hai,to allah uskeliye jannat ke jumlah 8 darwaze ( doors of jannah) khol deta hai,awr usko kaha jata hai,ke to jis darwaze se chahe jannat me dakhil hoja ,
( jamiut tirmizy,vol/1,Pg/18),
lehaz aysa karna sunnat se sabit hai,awr ungli se isharah karna ulama ne uski ijazat di hai,awr agar koi ungli nahi uthe to bhi koi haraj nahi hai.

PLZ,,read and share it,

You might also like