WITAR KI NAMAZ ME DUA E QUNOOT CHOOT JAYE TO..?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Witar ki Namaz me Agr hm tisri rakat me sure parh kar ruku me chalejaye fir achanak yad aate hi Allah hu Akbar bol kar dua e qunut Parh se namaz Sahi hogi ya Nahi ?
(Alfiya Alfiya),
awab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Wajib witr ki teesri Rakaat me agar Dua e Qunoot padhe baghair Ruku me chala jaye to Ruku ko mukammal karle phir baad me sajdah sahu karle to Namaz hogi,
Agar Ruku se wapas laut kar dua e qunoot padhe to bhi sajdah sahu wajib hoga,kyu ke Tarteeb me farq agaya hai.
(Fatawa An Nawazil,Vol/1)
Plz,,Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like