NAMAZ ME WAZU TOOT JAYE TO…?
sawal: Assalamualikum,Mufti sahebn,
Agar Naraz ki halath me Wazu tut Jata hai toh Namaz ko kese todege.
Naraz puri padege ya jab Wazu tut jayega usi Tim ja Namaz se hat jayega bina salam phere ?
(Alfiya Alfiya).
Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Namaz ki Halat me Wazu Toot jaye to salam phere baghair wyse hi Namaz se nikal jaye phir Baat kiye Baghair wazu bana le phir aakar Namaz me shareek hojaye to jaha wazu toota tha wahi se Namaz ko mukammal karle to Namaz hojayegi.,
aur agar imam ke peeche the to aysa hi kare jab aye aur imam Salam pher de to jitni Rakaate chooti ho unko ada karle,aur agar imam salam na phere to imam ke salam pherne ke baad khade hojaye aur apni chooti huvi rakaate ada kare.
yaad rahe ke is masleh ko Shareeat me Mas’alah e BINAA kahte hain.
(Al Hidayah,Vol/1),
Plz,,,Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.