ZAKAT DENA PHOTO LENA ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Aaj kal Aksar ye Dekhne me Araha hai,ke jo bhi log Zakat de rahe hai,ya Sadqah de rahe hai,ghareeb wa Bewa aurato ko Rice aur kuch saman de kar Photos ki taraf ziyadah Tawajjuh karre iske bare me wazahat kare,ke kiya aysa karna sahi hai ?
(Mirza Aziz baig),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Zakat ho ya Sadqah isko Dete waqt jo Ahem baat hai,wo “SACCHI NIYYAT” hai,
lehaza agar koi 10 Rupiye hi diya magar Niyyat Sacchi thi Dikhawa Nahi tha to wo 10 Rupiye ka sadqah 1 lakh dikhaweh ke sadqah se Kayi darjeh Afzal hai,
To jaha tak Zakat wa Sadaqat dene ki Baat hai,to usko Khamooshi aur Chup kar dena Chahiye kyu ke Hadees me aya hai,ke Seedhe Haath se is tarah Sadqah do ke Baye Haath ko pata bhi Na chale,
(Zujajatul Masaabeeh,Vol/4),
Aur jo Dikhawah karke aur Naam keliye Sadqah ya Zakat deta hai,uske baare me hadees me aya hai,ke :
Ameer shaks ko Qiyamat me Hazir kiya jayega,uske paiso ke bare me sawaalat honge to wo kahega:
Aye Allah Maine kayi Ghareebo ko paise diye hai,aur unki Madad ki hai,
To Allah farmayenge Aye Bandeh Tune Ghareebo keliye paise Nahi diye Balke tu to bus “APNE NAAM AUR SHOHRAT” keliye ghareebo ko istemal kiya hai,tu isliye Maal taqseem kiya take Dunya wale Teri*TAREEF* kare,aaj tera koi Amal qubool na huva,kah kar usko Jahannam me dal diya jayega.
Phir Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) ne Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) ke Ghutno pe Haath maar ke farmate hai ke,Abu Hurairah ayse hi log hai,jin se Jahannam Bhadakte rahti hai.!!!
(Jamiut Tirmizi,Vol/2,H,No:2557),
(ALLAHU AKBER KABEERA)
To Guzarish hai,ke Tawajjuh Photo pe Nahi Niyyat pe ho to ziyadah Behter hai.
Haan:Agar Baaz log Us tash heer (Photo,Videos etc..) se doosre logo ko Targheeb dilana chahte ho to,Ab Unki Niyyat ALLAH hi janta hai.
Haan,Us se Islami Arkaan ki Fazilat Ghairo ko Batana maqsood ho to uski ek had tak ijazat hai.
Lekin Yaad rahe DEEN KE HAR KAAM ME BUNYAD ***SACCHI NIYYAT*** hai.
Allah hamari Niyyato ko Paak kare..Ameen.

You might also like