10 MOHARRAM KA ROZAH

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,
10 moharram ke rozah ki kiya fazeelat hai,awr iska kiya hukm hai ?
(md hafeez),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,
Hazrat Abu hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Ramzan ke rozo ke baad agar koi fazeelat wala rozah hai to wo 10 Moharram ka rozah hai,
awr farz namaz ke baad koi fazeelat wali namaz hai,to wo Tahajjud ki namaz hai,
(Muslim shareef,vol/1,/pg/327).
awr uska hukm ye hai,ke ye rozah ” NAFIL ROZAH ” ke hukm me hota hai,

haan ,hadees se ye bhi sabit hai,ke 10 moharram ke rozeh ke saath 1 awr rozah milale yani 9 moharram ko rakhe agar 9 ko nahi rakh sake to 10 moharram ke rozeh ke saath 11 moharram ka rozah bhi rakh le,

plz,,read and sahre it.

You might also like